Thursday, October 16, 2008

Thoughts of a wandering mind after a boring day

Har naya din, ek nayi udaan liye chalta hai
Phir jumme ke intezaar mein,
kisi gumnam raaste pe bikhar jaata hai,
Mera Calender.

Har nayi raat, phir ek nayi ummed paalti hai
Kal kuch toh alag karenge, kuch toh alag sochenge
Phir bas, shanivaar ka saath mil jaata hai,
Aur Azaadi.

Har nayi soch,
Phir in shikayaton ko apas mein mitaati hai
Jhagadte hue, bas gum ho jaate hain kahin
Bat jaate hain saare khayaal,
teen chaar hisson mein.

Ab apna Flashback dekha to laga,
Jis manzil ke liye ek-ek pathar ko jod kar yeh bridge banaaya
Woh toh kabhi sala chahiye hi nahin tha