Thursday, January 01, 2009

Humdum

- By Gulzar

Mod pe dekha hai wo boodha-sa ek ped kabhi ?
Mera waqif hai, bahut salon se mein use jaanata hoon

Jab mein chhota tha to ik aam udaane ke liye
Parli deewar se kandhon pe chadha tha uske
Jaane dukhti huee kis shaakh se jaa paanv lagaa
Dhaad se phenk diya tha muje neeche usne
Meine khunnas main bahut phenke the pathar us par

Meri shaadi pe mujhe yaad hai shaakhein dekar
Meri vedi ka hawan garm kiya tha usne
Aur jab haamla thi 'Biba' to dopahar main har din
Meri biwi ki taraf kairiyan phenki thi isi ne
Waqt ke saath sabhi phool, sabhi patti gaye

Tab bhi jal jaata tha jab Munne se kehti 'Biba'
'Haan,usi ped se aaya hai tu, Ped ka phal hai'
Ab bhi jal jaata hoon. jab mod se gujarte mein kabhi
Khaanskar kehta hai, 'Kyo, Sar ke sabhi baal gaye?'

'Subah se kaat rahe hain woh Kameti wale
Mod tak jaane ki himmat nahin hoti mujhko'