Kabhi raat ki khamoshi mein
hawa ka shor ghul jaata hai
toh woh raat badi nam ho jati hain
Aasman ko raat se shiqva hai
raat ki vajah se subah mit jaata hai
Aur aasman ko khud se ladkar
har pehar apni shakl badalni padti hai
raat har din dhalne ka intezaar karti hai
aur har roz marne ki koshish karti hai
Aasman bas dekhta rehta hai
kabhi jab woh samajh jaata hai,
toh dar kar subah ki garmi mein
panah lekar raat ko mita deta hai
Par kabhi nazarandaaz kar
apni dhun mein woh bas
Subah ki zulfon se khelte hue
baadalon ko sajaata rehta hai
Kabhi woh shaam aayegi
jab raat mar chuki hogi
taare aayenge use dekhne
Aasman bada soona hoga...
taaron ke bina...
hogi toh bas,
subah ki garmi
1 comment:
:)
har raat ki kahaani!!
loved it in parts!
Post a Comment