Monday, August 25, 2008

Neend

Har raat woh aata tha,
phoolon sa mehekta hua

Ankhon se milta tha
aur raat ko thahar jaata tha

Din mein chedta rehta
aur raat ko zor se lipat jaata tha

Din mein ankhon ko wohi,
pyar se sajaa ke jaata tha...
chamakte hue heeron se

Ankhen khafa hain aajkal,
ke barson mein unse milne
andhera aaya nahin

Kahin woh bhool toh nahi gaya
Ke ankhon ko uski zaroorat hai?

Par hai bhi woh bada bedard
Kisi aur ki raaton mein mast pada hoga...
yahin kahin

No comments: