Friday, December 15, 2006

Ab Man Chala...


Kuch chaha tha kabhi, na mila na sahi

Kuch paaya that kabhi, na chaha na sahi

Phir kuch chahne ko

Apna khoon jalaane ko

Bheegi pyaas bujhane ko

Phir se jee uthne ko

Man chala…


Kuch socha tha kabhi, sach na tha na sahi

Kuch nibhaya tha kabhi na tika na sahi

Ab beete pal bhulane ko

phir veeran hojaane ko

ek nayi soch jagaane ko

naya kuch nibhane ko

man chala…


kuch hua tha kabhi, bura tha bura hi sahi

kuch samjha tha kabhi galat hua galat hi sahi

ab naya kuch samajhne ko

apni raah khud banana ko

door tak chalne ko

thakne par daudne ko

man chala…


kuch toota tha kabhi, na juda na sahi

kuch bikhra tha kabhi na sambhla na sahi

ab tukdon ko sametne ko

har aansoon pirone ko

tinkon se shabd jodne ko

ek kavita sajaane ko

man chala…


kuch choota tha kabhi, koi saath nahi abhi

kuch choda tha kabhi, koi paas nahi abhi

ab khud se ladne ko

khud ko jeetne ko

phir ek armaan jagaane ko

khud se pyaar karne ko

man chala…

1 comment:

Anonymous said...

tab kuch tha, ab kuch nahin?
sachmuch tha sab kuch? nahin!
hai dushman bhala
manchala man chala

interesting read! :)

i found a few parts weak.. but i donno if u were tryin to be technically right so i will let that be!