Anjan galiyon ki sunsaan raahon par
naarangi aasman jaise shaamiyana bana tha
Chameli ke phholon ne pedon ko aur
gulab ki pankhudiyon ne sadak sajaya tha
Jaise sapnon ki shaam thi woh
tumhaare saath kuch waqt guzaara tha
Neele dupatte ko marodte hue
yaad hai apna haal sunaya tha
Ghanton ki khamoshi ke baad
jaise ek chota sa raaz khola tha
Har lamhe me jaise ek sadi aur
poori shaam me ek lamha bitaya tha
No comments:
Post a Comment