aate jaate viran sadkon par
kabhi kabaar woh mil jaata hai
kabhi chai pe toh kabhi yun hi
subah woh dikh jaata hai
kabhi saath baithte ghanton baaten karte
kabhi raat bhar jaag saath kaam karte
uski kahaani woh hamaari hum sunaate
kabhi doosron ke liye apni neend kharab karte
subah ki thand mein garam chai liye
kal unse phir mulaqat ho gayi
cigarette ke dhuen ke beech baithe
wohi baaten phir shuru ho gayi
apni kahaaniyan duharaate hue
woh kuch nayi si baat kah gaya
jaise band phool ke pankhdiyon par
ek bhawra dastak de gaya
No comments:
Post a Comment